ghubar-e-jahan men chhupe ba-kamalon ki saf dekhta huun
main ahd-e-guzishta ke ashuftagan ki taraf dekhta huun
main sar ko chhupane se pahle jahan ka hadaf dekhta huun
mahakte hue nek phulon ko ḳhanjar-ba-kaf dekhta huun
hai andar talak ek neza gulu main kar-e-vazu men
to is haao men main kahan par huun kis ki taraf dekhta huun
zamane ki ghaten kitabon ki baton ko jhuTla rahi hain
main hairat ka maara tamashai-e-iz o sharaf dekhta huun
panah mil na paai ḳhayal-e-ḳhuda men jamal-e-ḳhudi men
main is bebasi men pareshan su-e-najaf dekhta huun
Leave a Reply