hua jab jalva-ara aap ka zauq-e-khud-arai
tamasha rah gaya ban kar jahan ka har tamashai
baharen hi hua karti hain tamhid-e-khizan aksar
vahan barson raha matam jahan pal bhar khushi aai
bahar-surat qayamat hai vo aaen ya chale jaaen
jo aae to sukun chhina gae to jaan tadpai
kali chatki na gul mahke na ghunchon par nikhar aaya
ajab andaz se ab ke gulistan men bahar aai
jahan mujh ko nazar aaya koi naqsh-e-qadam un ka
vahin ik dam tadap uttha mira zauq-e-jabin-sai
ye kya tarz-e-musavat-e-jahan hai adil-e-mutlaq
kahin aahen nikalti hain kahin bajti hai shahnai
miri khalvat men lakhon arzuen jalva-farma hain
kahin mahfil se badh kar hai miri ai ‘barq’ tanhai
Leave a Reply