khumar-e-shab men zamin ka chehra nikhar raha tha
koi sitaron ki palki men utar raha tha
naha rahe the shajar kisi jhiil ke kinare
falak ke takhte pe chand baitha sanvar raha tha
havaen divar-o-dar ke pichhe se jhankti thiin
dhuan lapete koi gali se guzar raha tha
khada tha meri gali se bahar jahan saara
main khvab men apne aap se baat kar raha tha
hava ka jhonka udaas kar ke chala gaya hai
abhi abhi to main jam-e-ghaflat ko bhar raha tha
aur ab thahar ja ‘naved’ aage to kuchh nahin hai
tu umr bhar is khayal se be-khabar raha tha
Leave a Reply