• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Fart-E-Shauq Us But Ke Kuche Mein Laga Le Jaega

Fart-E-Shauq Us But Ke Kuche Mein Laga Le Jaega

haidar-ali-aatish

fart-e-shauq us but ke kuche men laga le jaega

kaba-e-maqsud tak mujh ko khuda le jaega

kaat kar par bhi mujhe sayyad be-qabu na chhod

na-tavan huun baad ka jhoka uda le jaega

rote rote jaan javegi firaq-e-yar men

ashk ka dariya mira murda baha le jaega

dil mira mutthi men rakhte ho tumhare haath se

chhin kar ik din use duzd-e-hina le jaega

misr tak pahunche na jo kanan se vo yusuf huun main

dast-e-ikhvan se chhuta to bhediya le jaega

ek gul us baagh ka bu-e-vafa rakhta nahin

sabza-e-begana shauq-e-ashna le jaega

vaada-e-sadiq to izrail se hai dekhiye

is sire se mujh ko kab tak us sira le jaega

baghban gulshan ke darvaze ko kya rakhta hai band

kaun ghunche ki kulah gul ki qaba le jaega

ustukhvan ujrat men denge ham faqir ai shah-e-husn

arzi apne shauq ki tujh tak huma le jaega

kashti-e-tan bahr-e-hasti men rahi barson tabah

paar ise ik dam men is ka nakhuda le jaega

husn dikhla dega ai but tujh men shaan allah ki

tere aage aalam apni iltija jaega

bose lega dast-e-tegh-e-qatil-e-bebak ke

‘atish’-e-maqtul apna khun-baha le jaega

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Dil Bano Dil Ka Muddaa Bhi Bano

poet

dil Se Puchha Tu Kahan Hai To Kaha Tujhko Kya

ismail-merathi

Natija Kyunkar Achchha Ho Na Ho Jab Tak Amal Achchha

Kab Tak Phirunga Hath Mein Kasa uTha Ke Main

Dekhe to Tamaddun Ka Banna Koi Urdu Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet