fariza hai so ham nibhaya karenge
charaghon ko majlis men laaya karenge
andheron ujalon ki hai ye laḌa.i
bujhaoge tum ham jalaya karenge
chhupaoge chehra kahan tak tum apna
ham ik aa.ina ban ke aaya karenge
sabhi dar agar band karke bhi baiTho
ayaan ho ke phir bhi dikhaya karenge
kabhi ghar hamen bhi bula kar to dekho
tumhen ham tumhin se milaya karenge
adu hai tumhara tumhare hi andar
ḳhudi se tumhen ham bachaya karenge
ana ka agar bojh kam kar sako to
ye va.ada hai sar pe biThaya karenge
‘nava’ jante hain ki kya hai sadaqat
jahan par dikhi sar jhukaya karenge
Leave a Reply