ek duniya bana ga.i miTTi
jis ghaḌi ruuh pa ga.i miTTi
jis ne socha ki raund den us ko
aḳhir ik din chaba ga.i miTTi
main ne jitne bhi biij bo.e the
banjh aurat thi kha ga.i miTTi
tishnagi thi kuen ki qimat men
badli chha.i gira ga.i miTTi
surḳh-ru hai vo saari duniya men
saath jis ka nibha ga.i miTTi
sab qabale uTha ke le aa.i
kisi ki hai ye bata ga.i miTTi
kis ne kab kis ko kaise qatl kiya
shakl sab ki chhupa ga.i miTTi
Leave a Reply