hua hai ahl-e-sahil par asar kya
tujhe ai Dubne vaale ḳhabar kya
vahi hai chashm-e-nargis ka tahayyur
nahin gulshan men koi dida-var kya
safina kyuun tah-e-girdab aaya
talatum-ḳhez maujon ko ḳhabar kya
nigah-e-lutf ka mamnun hai dil
magar ye pursish-e-bar-e-digar kya
na jaana jis ne raz-e-marg-o-hasti
vo kya samjhe ki hai teri nazar kya
bahut dushvar thi rah-e-mohabbat
hamara saath dete ham-safar kya
sitaron ki bhi umren ho ga.iin ḳhatm
na hoga qissa-e-gham muḳhtasar kya
sahar apni na apni shaam ai ‘naqsh’
kisi majbur ke sham-o-sahar kya
Leave a Reply