• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hoti Hai Haar Jit Pinhan Baat Baat Mein

Hoti Hai Haar Jit Pinhan Baat Baat Mein

poet

hoti hai haar jiit pinhan baat baat men

chaupad bichhi hai anjuman-e-kaenat men

rakh fikr-e-jism aryati kaenat men

chori na jaaen maang ke kapde barat men

pyase miri lahu ke hain sab kaenat men

kashti-e-umr chalti hai ab-e-furat men

be-aql ho ke aa gae hasti ki ghaat men

divane ban ke phans gae qaid-e-hayat men

saaqi se kah do sabza-e-tar men baha sharab

tanke kadu ki bel qaba-e-nabat men

ki talkh guftugu lab-e-jan-bakhsh se mudam

afyun gholi aap ne ab-e-hayat men

qaaem mizajiyon men bhi ghaflat muhit hai

hai khvab-e-marg makhmal-e-rang-e-sabat men

honton ka ishq tha ye rahe aabru ki baat

murde ko ghusl dijiye ab-e-hayat men

pahuncha jo tere kuche men khud-rafta ho gaya

jaata raha main aap se rah-e-najat men

malte hain khub-ru tire kheme se chhatiyan

angiya ki doriyan hain muqarrar qanat men

hasti men tark kijiye zulfon ke ishq ko

zanjiren dohri todiye qaid-e-hayat men

musa-o-khizr ne tire batne ke vaste

ghola hai barq-e-tur ko ab-e-hayat men

gharat kiya akhir javani men dahr ko

duniya tamam luut li thodi si raat men

juz dagh-e-zindagi men nahin aur kuchh surur

afyun kab hai lala-e-rang-e-sabat men

muddat se dher jada-e-bak-e-najaf men hai

takiya hai is faqir ka rah-e-najat men

shadi hui jo raat ko khele vo ganjifa

raushan kiya ghulam ne ikka barat men

kuche men rakh ke ashiq-e-muztar ki haddiyan

machhli ke kante bo diye rah-e-najat men

dil ki safa ho jama-e-hasti men jalva-gar

jeb-e-sahar ugaun qaba-e-hayat men

savan ke badle gaiye ‘hafiz’ ke sher-e-tar

jhula zarur daliye shakh-e-nabat men

hasti ki qaid se dil-e-betab chhup gaya

machhli na thahri bazu-e-sham-e-hayat men

murde jilae saikdon thukra kar ai sanam

dast-e-masih ka hai asar teri laat men

shirin-adaiyan bhi hon raftar-e-naz bhi

kafur-e-subh-e-hashr ho qand-o-nabat men

honton ki masti duur ki tu ne khatai se

lemuu. ki chashni hai tiri mithi baat men

andha banaenge vo rula kar itaab se

rahte hain roz aankh churane ki ghaat men

maut aae mujh ko hijr men ahmad ki ai ‘munir’

vallah kuchh maza nahin aisi hayat men

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Wo Mere Dil Ke Talabgar Nazar Aate Hain

Dekhe Koi Jo Chaak-E-Gareban Ke Par Bhi

Lutf Pahchan Ka Bhi to Lo Ajnabi

faiz-ahmad-faiz

Kabhi Kabhi Yaad Mein Ubharte Hain Naqsh-E-Mazi Mite Mite Se

Kaam Is Duniya Mein Aa Kar Humne Kya Achchha Kiya

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet