lafzon ke sahra men kya maani ke sarab dikhana bhi
koi sukhan sahabi koi naghma nakhlistana bhi
ik muddat se hosh-o-khabar ki khamoshi raaij hai yahan
kaash dayar-e-asr men gunje koi sada mastana bhi
nape-tule ahang pe kab tak sambhal sambhal kar raqs karen
koi dhun divani koi harakat majnunana bhi
shahr se bahar kohsaron ke biich ye thahra thahra din
kitna apna sa lagta hai aaj dil-e-begana bhi
ek tilismi raah fasil-e-tan se navah-e-jan tak hai
jis ki khoj men kho jaao to mumkin hai pa jaana bhi
agahi maakus safar hai danish-gah ke raste ka
jis ka har jana-pahchana manzar hai an-jana bhi
bol vahi hain sur bhi vahi mizrab ki jumbish badle to
yas-o-alam ke taron men muzmar hai ek tarana bhi
hasil aur la-hasil par ab vaise bhi kiya ghaur karen
aur chhalakne vaala ho jab sanson ka paimana bhi
kitni aag kashakash kitni kitna tahammul hai darkar
‘saz’ koi asan nahin hai lafzon ko pighlana bhi
Leave a Reply