hosh kho kar josh men kuchh is tarah main bah gaya
kya mujhe kahna tha us se aur kya kya kah gaya
us ki janib dekh kar aḳhir ye mujh ko kya hua
ek sach honTon pe mere aate aate rah gaya
jo asasa zindagi ka us ne joḌa umr bhar
maut ka sailab jab aaya to sab kuchh bah gaya
zulm ki buniyad par us ne banaya tha mahal
sabr ki bas ek hi Thokar se vo bhi Dhah gaya
tum ne to aansu hi dekhe hain tumhen malum kya
dard ka dariya miri ankhon se ho kar bah gaya
dosti qaa.em rahe har haal men ye soch kar
doston ne jo diye vo zaḳhm hans kar sah gaya
zindagi ne har qadam par ne.amaten taqsim kiin
aur ‘sahil’ umr ke zer-o-zabar men rah gaya
Leave a Reply