hogi is Dher imarat ki kahani kuchh to
DhunD alfaz ke malbe men ma.ani kuchh to
log kahte hain ki tu mujh ko bura kahta hai
main bhi sun luun tire honTon ki zabani kuchh to
barf ne karb ki patvar ko bhi toḌ diya
dil ke dariya ko ata kar de ravani kuchh to
bhuul baiThe hain vo bachpan ke fasane lekin
yaad hogi unhen pariyon ki kahani kuchh to
naqsh-e-pa tak bhi na chhoḌegi hava hai pagal
kaun janib mujhe jaana hai nishani kuchh to
tere ehsas men shole hain ye maana ‘shahpar’
sirf rasmi hi sahi barf-bayani kuchh to
Leave a Reply