ho nahin paa.i hai nuqsan ki talafi ab tak
bhuul paa.e nahin guzra hua maazi ab tak
bas ga.e shahr men fitrat nahin badli ab tak
aisa lagta hai ki insan hai vahshi ab tak
ab ye jaana bhi koi jaana hai jaane vaale
hai tire hone ki har ek nishani ab tak
aur ab kya use murda hi bana Daloge
kam vahi kya hai jo kuchh dil pe hai guzri ab tak
vaqt tha kaun sa lamha jo ḳhata kar baiTha
kyon ye jaari hai tabahi pe tabahi ab tak
tu ne manga hi nahin mangne valon ki tarah
varna rahti nahin ḳhali tiri jholi ab tak
ai qayamat tu abhi duur hi rahna kuchh roz
ham to chaḌh paa.e hain bas pahli hi siḌhi ab tak
teri mehnat men nahin koi kami ai ‘javed’
ho nahin paa.i hai allah ki marzi ab tak
Leave a Reply