• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ho Ke Khush Naz Hum Aison Ke Uthane Wala

Ho Ke Khush Naz Hum Aison Ke Uthane Wala

shad-azimabadi

ho ke khush naaz ham aison ke uthane vaala

koi baaqi na raha agle zamane vaala

khvab tak men bhi nazar aata nahin ai chashm

mere ro dene pe ashkon ka bahane vaala

aaj kuchh shaam se chup hai dil-e-mahzun kya ilm

kyuun khafa hai mira raton ka jagane vaala

be-khudi kyuun na ho taari ki gaya siine se

ashk-e-khun ath-pahr mujh ko rulane vaala

kab samajhta hai ki jiina bhi hai akhir koi shai

apni hasti tiri ulfat men mitane vaala

mohtasib khush hai bahut tod ke khum-ha-e-sharab

gham nahin sar pe salamat hai pilane vaala

ho gae dekhne vaale bhi jahan se nayab

ab dikhae kise hairan hai dikhane vaala

tere bimar-e-mohabbat ki ye halat pahunchi

ki hataya gaya takiya bhi sirhane vaala

samna us but-e-kafir ka hai dekhen kya ho

khud hai shashdar mira iman bachane vaala

‘shad’ ik bhiid lagi rahti thi jis ghar men vahan

aane vaala hai na ab koi na jaane vaala

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

daraKHt Mujhko Nai Kahani Suna Rahe Hain

Kyun Na Ho Zikr Mohabbat Ka Mare Nam Ke Sath

azra-naqvi

dastan-E-Zindagi Likhte Magar Rahne diya

Hum Kisi Ki Bhi Kabhi Aankh Ke Tare Na Hue

Sach Ki KHatir Bata Tu laDa Hai Kabhi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet