dasht se main jo apne ghar aaya
mere dil men ḳhuda utar aaya
jis ki qimat na de saka koi
mere hisse men vo guhar aaya
saari duniya hai raah par meri
jab se main teri raah par aaya
kitne patthar hain samne lekin
but-gari ka kise hunar aaya
kis ne duniya ko zindagi de di
maut ka dil bhi aaj bhar aaya
phir dar-o-bam ho ga.e rangin
phir lahu mera mauj par aaya
Leave a Reply