• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Use Kya Raat Din Jo Talib-E-Didar Phirte Hain

Use Kya Raat Din Jo Talib-E-Didar Phirte Hain

use kya raat din jo talib-e-didar phirte hain

gharaz hai to gharaz ke vaste sau baar phirte hain

idhar dekho bhala ham ko zamana kya nahin kahta

to kya har ek se karte hue takrar phirte hain

jo ab vahshat nahin bhi hai to apni chaal kyuun chhoḌen

jidhar ji chahe din-bhar rat-bhar be-kar phirte hain

tiri ḳhatir mohabbat ho ga.i hai dil ki vahshat se

hamen avara-pan par aa gaya hai pyaar phirte hain

taḌapne luTne ki aaj un tak bhi ḳhabar pahunchi

mujhe badnam karne ko mire gham-ḳhvar phirte hain

use ham mante hain to zamane-bhar se achchha hai

magar achchhe bhi apne qaul se ai yaar phirte hain

samajhte hain samajhne vaale us ko bhi riya-kari

gali-kuchon men kyuun tere sitam-bardar phirte hain

tumhen afsos kyuun hai ashiqon ki kucha-gardi par

phirata hai muqaddar ye ḳhuda.i ḳhaar phirte hain

kahin aisa na ho ik roz tum bhi ham se phir jaao

yahan pahle hi apni jaan se bezar phirte hain

vo dil ki aarzu ab hai na us ki justuju ab hai

hamare paanv men chakkar hai ham be-kar phirte hain

kisi kafir ka ghar tha ya nahin ma.alum jannat thi

abhi tak meri ankhon men dar-o-divar phirte hain

zamane se nirala hai chalan in husn valon ka

laqab to qatil-e-alam hai be-talvar phirte hain

safi’ ko tum ne to koi baḌa pahuncha hua samjha

aji rahne bhi do aise bahut makkar phirte hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Shikasta Aks Tha Wo Ya Ghubar-E-Sahra Tha

Nit-Nai KHush-Fahmiyon Mein Mubtala Rakhta Hun Main

imam-bakhsh-nasikh

Sab Ki Sab Kya Hain Shab-E-Qadr Hamari Raaten

jaun-eliya

Apna Khaka Lagta Hun

wajid-ali-shah-akhtar

Nayab Hai Sukun dil-E-Be-Qarar Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet