ho ga.e nakam to pachhta.en kya
doston ke samne sharma.en kya
ho rahe hain fail ham do saal se
ghar men ja kar apna munh dikhla.en kya
jab kisi surat nahin is se mafar
imtihan ke naam se ghabra.en kya
yaad kar len aaj thoḌa sa sabaq
master sahab ke DanDe kha.en kya
jab guru ji ḳhud nahin samjhe saval
apne shagirdon ko vo samjha.en kya
paḌh nahin sakte to shaitani karen
aa ga.e schōl men to jaa.en kya
aao ham aapas men kuchh jhagḌa karen
khel se ab apna dil bahla.en kya
puchhte hain master ham kaun hain
koi batlao ki ham batla.en kya
jab kahin zauq-e-suḳhan-fahmi nahin
‘kaif’ sahab ki ghazal ham gaa.en kya
Leave a Reply