Hisar-E-Maqtal-E-Jaan Mein Lahu Lahu Main Tha

hisār-e-maqtal-e-jāñ meñ lahū lahū maiñ thā

rasan rasan mirī vahshat gulū gulū maiñ thā

jo rah gayā nigah-e-sozan-e-mashiyyat se

qabā-e-zīst kā vo chāk-e-be-rafū maiñ thā

zamāna hañstā rahā merī ḳhud-kalāmī par

tire ḳhayāl se masrūf-e-guftugū maiñ thā

thā aa.ine meñ shikast-e-ġhurūr-e-yaktā.ī

ki apne aks ke parde meñ hū-ba-hū maiñ thā

tū apnī zaat ke har pech-o-ḳham se pūchh ke dekh

qadam qadam mirī aahaT thī kū-ba-kū maiñ thā

har ek vādī-o-kohsār se guzartā huā

jo ābshār banā thā vo aabjū maiñ thā

ḳhutan ḳhutan thī shalañg-e-ġhazāl mere liye

badan badan mirā nashsha subū subū maiñ thā

tamām umr kī dīvāngī ke ba.ad khulā

maiñ terī zaat meñ pinhāñ thā aur tū maiñ thā

ma.āl-e-umr-e-mohabbat hai bas yahī ’tishna’

mirī talāsh thā vo us kī justujū maiñ thā

Leave a Comment