go khaak ho chuka hai hindostan hamara
phir bhi hai kul jahan men palla garan hamara
munh tak raha hai ab tak saara jahan hamara
hai naam kishvaron men vird-e-zaban hamara
zarkhez hai sarasar ye gulistan hamara
hai tair-e-tilai hindostan hamara
bharat men dekhte the ham sanaten jahan ki
mashhur thi jahan men karigari yahan ki
vo baat hindiyon ne ghairon ke darmiyan ki
jis par jhuki hai gardan amboh-e-sarkashan ki
milta tha ilm-o-fan men ham-sar kahan hamara
hai tair-e-talai hindostan hamara
taslim kar rahe hain espen aur japan
sab mante hain loha german france-o-yunan
america men hai charcha is mulk ka numayan
bharat ki saltanat par bartaniya hai nazan
uncha hai asman se ye astan hamara
hai tair-e-tilai hindostan hamara
parbat ki chotiyan hain darban hamare dar ki
daman men jis ke pinhan kanen hain sim-o-zar ki
gang-o-jaman pe jis dam sayyad ne nazar ki
sarsabz vadiyon se is ki nazar na sar ki
kya ghairat-e-iram hai ye bostan hamara
hai tair-e-tilai hindostan hamara
paida kiye the jis ne arjun kanad gautam
aghosh men pale the jis ki byas-o-bikram
godi men jis ki khele the bhiim raam bhisham
jin ke sabab se ab tak hai hindiyon men dam-kham
vo mulk-e-be-badal hai jannat-nishan hamara
hai tair-e-tilai hindostan hamara
Leave a Reply