himmat-e-iltija nahin baaqi
zabt ka hausla nahin baaqi
ik tiri diid chhin gai mujh se
varna duniya men kya nahin baaqi
apni mashq-e-sitam se haath na khinch
main nahin ya vafa nahin baaqi
teri chashm-e-alam-navaz ki khair
dil men koi gila nahin baaqi
ho chuka khatm ahd-e-hijr-o-visal
zindagi men maza nahin baaqi
Leave a Reply