• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hilti Hai Zulf Jumbish-E-Gardan Ke Sath Sath

Hilti Hai Zulf Jumbish-E-Gardan Ke Sath Sath

poet

hilti hai zulf jumbish-e-gardan ke saath saath

nagin bhi hai lagi hui rahzan ke saath saath

kis ki kuduraton se ye mitti kharab hai

kis ka ghubar hai tire daman ke saath saath

uttha tha munh chhupae hue main hi subh ko

jaata tha main hi raat ko dushman ke saath saath

kuche men us sanam ke khudai ka lutf hai

nahaq phira main shaikh o barhaman ke saath saath

dil ki tapish ne khaak udaai ye baad-e-marg

lasha phira kiya mira madfan ke saath saath

allah apne rashk ka darja bhi ab nahin

kis kis jagah gaya but-e-pur-fan ke saath saath

jhonka qafas men aaya jo bad-e-bahar ka

pahlu se dil nikal chala san-san ke saath saath

ashkon ke saath saath to maujen ghamon ki hain

ankhon ke shoale hain mire shevan ke saath saath

jis raah se guzarte hain vo, mujh se saikdon

ho lete hain junun-zada ban ban ke saath saath

zanjir mere paanv ke pichhe padi hai yuun

phirta hai rishta jis tarah sozan ke saath saath

kab tak kisi ko kholen kisi ko karen vo band

phirti hai yaan nigah to rauzan ke saath saath

yuun saath ruuh ke hai tan-e-zar ab ‘nizam’

phirta hai jaise saaya mira tan ke saath saath

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Tujhko Andaze Nahin Rah Ki Dushwari Ke

Umr Guzar Jati Hai Qisse Rah Jate Hain

Usko Jate Hue Dekha Tha Pukara Tha Kahan

KHuda Ki Be-ruKHi Par Ro Rahi Hai

poet

Sukun Ki Mauj uThi Shor-O-Shar Rawana Hua

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet