hijr men itna khasara to nahin ho sakta
ek hi ishq dobara to nahin ho sakta
chand logon ki mohabbat bhi ghanimat hai miyan
shahr ka shahr hamara to nahin ho sakta
kab talak qaid rakhun aankh men binai ko
sirf khvabon se guzara to nahin ho sakta
raat ko jhel ke baitha huun to din nikla hai
ab main suraj se sitara to nahin ho sakta
dil ki binai ko bhi saath mila le ‘gauhar’
aankh se saara nazara to nahin ho sakta
Leave a Reply