ab manzil-e-sada se safar kar rahe hain ham
yaani dil-e-sukut men ghar kar rahe hain ham
khoya hai kuchh zarur jo us ki talash men
har chiiz ko idhar se udhar kar rahe hain ham
goya zamin kam thi tag-o-taz ke liye
paimaish-e-nujum-o-qamar kar rahe hain ham
kaafi na tha jamal-e-rukh-e-sada-e-bahar
zebaish-e-giyah-o-shajar kar rahe hain ham
Leave a Reply