hijr-mausam tha satati rahi tanha.i hamen
chhat pe taara bhi jo TuuTa to sada aa.i hamen
qahqaha-zar fazaon men ajab bhiiḌ si thi
ghar ka mahaul jo dekha to hansi aa.i hamen
ham sarabon ke musafir the magar jante the
kis ke dam par na Darati rahi purva.i hamen
chhanv ne abla-pa.i ke siva kuchh na diya
dhuup deti rahi ehsas-e-tavana.i hamen
ham ko to daldali samton ka bhi andaza tha
ret dariya ki bhi malum thi gahra.i hamen
‘rind’ ḳhamosh si yalghar thi chaurahe par
kanch ke ghar se jo bazar men le aa.i hamen
Leave a Reply