hijr ke din ki raat hui barsat hui
aankh se dil ki baat hui barsat hui
tanha tha to saaf raha ye matl.a-e-dil
yaad tumhari saat hui barsat hui
dil ka album khol ke gum-sum baiTha tha
tasviron se baat hui barsat hui
dhuup masafat kaaTi ham ne hans hans kar
manzil par jab raat hui barsat hui
pyaar ke khel men manzar ye bhi dekha hai
jiit hui ya maat hui barsat hui
Leave a Reply