hazar vaade kiye hain tum ne kabhi kisi ko vafa na karna
chalo usi par jo ghair kah den kahin hamara kaha na karna
agar na sunte ho baat meri to sabr aa jaae ji ko mere
sitam hai un ko khamosh rahna ghazab hai sun kar suna na karna
khushi hai un ko ye janta huun magar main rakhne ko baat apni
kahun ye un se ki baad-e-murdan tum aa ke matam mira na karna
vo janen ishq-o-havas ko jab tak hayat dushman ki hai ghanimat
badhegi us se hi qadr apni ki gharat us ko khuda na karna
sabab maraz ka hai tark-e-adat yahan yahan hain dard-o-alam ki khugar
yahi samajhna dava hamari ki chara-sazo dava na karna
agar hai aana to ab bhi aao na tang aa kar vo kuchh karen ham
ki jis ko sun kar kahe zamana kiya vo us ne jo tha na karna
ye ek muddat ki hai tavaqqoa mita na dena ilahi is ko
agar hai manzur paas us ka zuhur roz-e-jaza na karna
hamen to marna hai akhir ik din tumhare sar ho ke mar rahenge
satae jaana tumhen qasam hai kami na karna khata na karna
bata rahe hain falak ko dushman vo muntaqim hai kare jo chahe
uthe hue hain jo haath apne tasavvur us ko dua na karna
kahen adu ki buraiyan kya mile ho us se milo va-lekin
batae dete hain is liye ham ki ham se aa kar gila na karna
labon pe rahna ki jab tak ummid-e-amad us ki hai mujh ko baaqi
kare na vaada vafa agar vo to mujh se ai jaan vafa na karna
yahin ho apna sa haal dushman mile na dozakh bala se us ko
na nikle jab tak ye hasrat apni ilahi mahshar bapa na karna
haya ka parda hai varna tum to hue pasheman-e-jang-e-dushman
nahin ho fikr musalahat men to ham se mil kar haya na karna
sahenge jo kuchh padegi ham par bala men phanste ho kis liye tum
agar hai manzur khair ‘salik’ to zikr un se mira na karna
Leave a Reply