kaTta hai vaqt kaise bata duun janab ka
qissa sunaya karte hain ahd-e-shabab ka
ai maula tu rahim hai ye janta huun main
rakkha hai yuun hi pech hisab-o-kitab ka
tum aa ga.e ḳhushi mili aansu Thahar ga.e
guzra kaThin zamana mire iztirab ka
taron ke darmiyan hai jo imtiyaz-e-chand
darja hai gulsitan men vahi to gulab ka
malmal ka isti.mal baja hai magar ye kya
charcha hai anjuman men abhi tak naqab ka
itni ḳhata thi ‘nazr’ tumhin sar-nigun na the
Dola guzar raha tha jo izzat-ma.ab ka
Leave a Reply