hazar sheva-e-rangin hai ik jafa ke liye
nigah chahiye nairan.gi-e-ada ke liye
savad-e-fikr se ubhri tiri hasin nigah
main sham.a DhunDh raha tha rah-e-vafa ke liye
vo ranj-e-rah ho ya ḳhauf-e-gumrahi ai dost
jo rah-rau ke liye hai vo rahnuma ke liye
ye bandagi ye riyazat ye zohd ye taqva
ye sab ḳhudi ke liye hai ki hai ḳhuda ke liye
ye vaqt vo hai ki divana toḌ de zanjir
ki khul rahi hai vo zulf-e-siyah dua ke liye
miTa miTa ke bana.e ga.e ḳham-e-gesu
paḌi girah pe girah ek mubtala ke liye
sukut-e-shab men ki Thahri hai ka.enat ki nabz
dil ashna ka dhaḌakta hai ashna ke liye
bas ek nigah ne donon ko de rakha hai fareb
‘raza’ tumhare liye hai na tum raza ke liye
Leave a Reply