dil kisi mushtaq ka thanda kiya
khuub kiya aap ne achchha kiya
aaj haya aankh ki kuchh aur hai
chahne vaala koi paida kiya
haae re paiman-shikani ke maze
jab main gaya vada-e-farda kiya
kuchh to kisi ne unhen samjha diya
ham jo gae aaj to parda kiya
go ki na tha meri taraf munh magar
tirchhi nigahon se vo dekha kiya
aah ki taqsir nahin hai magar
be-asari ne mujhe rusva kiya
kah ke le aate hain tumhen hoshiyar
ye na kiya ham ne to phir kya kiya
maut ke sadqe ki ye kahte the vo
aaj na us ne koi phera kiya
aap ke ehsan ki tarif hai
main ne agar shikva-e-aada kiya
naam mera sunte hi sharma gae
tum ne to khud aap ko rusva kiya
qadr miri tum ne na ki varna main
kya kahun kya aap ko samjha kiya
main ne to ai jan-e-jahan jaan di
tum ne ada haqq-e-vafa kya kiya
phir vo nahae araq-e-sharm men
kis ne mire ishq ka charcha kiya
main dil-e-sad-chak ka kahta tha haal
shana abas zulf se uljha kiya
us ki nazar men hua halka ‘nasim’
mujh se mire shauq ne kya kya kiya
Leave a Reply