hazar qisse sunata raha gilas ka rang
miTa saka na magar mere lab se pyaas ka rang
dar-e-yaqin pe musalsal guman ki dastak hai
ubhar na jaa.e kahin ek din qayas ka rang
asar ko chahiye kuchh aur ajizi shayad
miri duaon men shamil hai iltimas ka rang
chaman men zard ruton ke nuqush raushan hain
chamak raha hai magar kyariyon men ghaas ka rang
javaz kuchh bhi nahin ab pa.e-shumar-e-nafas
koi ummid ki ḳhushbu na koi yaas ka rang
Leave a Reply