• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hazar Hadsat-E-Gham Rawan-Dawan Liye Hue

Hazar Hadsat-E-Gham Rawan-Dawan Liye Hue

hazar hadsat-e-gham ravan-davan liye hue

kahan chali hai zindagi kashan kashan liye hue

mire nasib ki ye zulmaten na miT sakin kabhi

koi guzar gaya hazar kahkashan liye hue

ye zindagi badalte mausamon ka rang-rup hai

kabhi bahar ka saman kabhi ḳhizan liye hue

mira ye karb hai ki mera karvan guzar gaya

simaT ke rah gaya huun gard-e-karvan liye hue

agar vo jan-e-arzu mile to us ki nazr ho

khaḌa huun kab se muntazir main naqd-e-jan liye hue

mire vaqar ka saval tha main kuchh na kah saka

guzar ga.e vo rahaton ka ik jahan liye hue

kisi bhi zaviye se ‘arsh’ is ko dekhiye magar

qadam qadam pe zindagi hai imtihan liye hue

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

bhaTak Rahe Hain bhaTakte Rahenge Farzane

poet

Jaan Apni Chali Jae He Jae Se Kasu Ki

Sham-O-Gul Ne Saj to Di Mahfil Teri Tere Baghair

Maqam-E-Nur Ho Kar Rah Gaya Hai

Kis Ko Malum Ki Wo Log Kahan Rahte Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet