havas jalva nahin zauq-e-tamasha bhi nahin
kisi chehre pe tire chehre ka dhoka bhi nahin
gham-gusari ki tavaqqo.a na dilase ki umiid
kya qayamat hai ki main ishq men rusva bhi nahin
vahi mil baiThna pahron vahi ahbab ki bazm
ḳhud-farebi ka bhala ho ki main tanha bhi nahin
husn sar-ta-pa taghaful hai rivayat ke nisar
tajraba apna ye kahta hai ki aisa bhi nahin
samna ho to vahi bojh sa jaise dil par
tum se maana ki kisi baat ka parda bhi nahin
aage aage koi mash.al si liye chalta tha
haa.e us shaḳhs ka kya naam tha puchha bhi nahin
sirf ḳhalvat ki hai shoḳhi ki abhi tak us ne
‘shaz’ kah kar mujhe mahfil men pukara bhi nahin
Leave a Reply