• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hausle Aur Siwa Ho Gae Parwanon Ke

Hausle Aur Siwa Ho Gae Parwanon Ke

hausle aur siva ho ga.e parvanon ke

sho.ale arman baḌha dete hain divanon ke

yahi aalam hai agar laghzish-e-mastana ka

Dher lag ja.enge TuuTe hue paimanon ke

taur badla na agar ahl-e-chaman ne apna

nazar a.enge manazir yahin viranon ke

ah-e-mazlum agar dil se nikal ja.egi

ḳhaak par Dher nazar a.enge aivanon ke

qissa-e-sarmad-o-mansur na chheḌ ai hamdam

varna jazbat bhaḌak uThenge divanon ke

aap mahfil men na aate to bahut achchha tha

aaj to hosh uḌe jaate hain farzanon ke

daur-e-hazir ki kashakash ka ye aalam hai ki bas

hausle past hue jaate hain insanon ke

kya bigaḌegi bhala shorish-e-tufan us ka

jis ne ruḳh moḌ diye barha tufanon ke

dosto baten banate ho sar-e-sahil kya

aao ruḳh moḌ ke dekhen zara tufanon ke

us se ummid-e-karam kya kare koi ‘kashfi’

kaam aata ho jo apnon ke na beganon ke

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

etibar-sajid

Tumhein Jab Kabhi Milen Fursaten Mere dil Se Bojh Utar do

Tum Achchhe Masiha Ho Dawa Kyon Nahin Dete

Yar Hamari Baat Na Puchh

Ehsas-E-Gham Mein Aaj Wo Yun Jalwa-Gar Hua

Ab Na Wo Hum Hain Na Wo Pyar Ki Surat Teri

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet