hausla itna abhi yaar nahin kar paa.e
ḳhud ko rusva sar-e-bazar nahin kar paa.e
dil men karte rahe duniya ke safar ka saman
ghar ki dahliz magar paar nahin kar paa.e
ham kisi aur ke hone ki nafi kya karte
apne hone pe jab israr nahin kar paa.e
sa.at-e-vasl to qaabu men nahin thi lekin
hijr ki shab ka bhi didar nahin kar paa.e
ye to ara.ish-e-mahfil ke liye tha varna
ilm o danish ka ham iz.har nahin kar paa.e
Leave a Reply