• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hum Ji Rahe Hain Koi Bahana Kiye Baghair

Hum Ji Rahe Hain Koi Bahana Kiye Baghair

ham ji rahe hain koi bahana kiye baghair

us ke baghair us ki tamanna kiye baghair

ambar us ka parda-e-hurmat bana miyan

divar tak nahin giri parda kiye baghair

yaran vo jo hai mera masiha-e-jan-o-dil

be-had aziiz hai mujhe achchha kiye baghair

main bistar-e-ḳhayal pe leTa huun us ke paas

sub.h-e-azal se koi taqaza kiye baghair

us ka hai jo bhi kuchh hai mira aur main magar

vo mujh ko chahiye koi sauda kiye baghair

ye zindagi jo hai use ma.ana bhi chahiye

va.ada hamen qubul hai iifa kiye baghair

ai qatilon ke shahr bas itni hi arz hai

main huun na qatl koi tamasha kiye baghair

murshid ke jhuuT ki to saza be-hisab hai

tum chhoḌiyo na shahr ko sahra kiye baghair

un anganon men kitna sukun o surur tha

ara.ish-e-nazar tiri parva kiye baghair

yaran ḳhusha ye roz o shab-e-dil ki ab hamen

sab kuchh hai ḳhush-gavar gavara kiye baghair

girya-kunan ki fard men apna nahin hai naam

ham girya-kun azal ke hain girya kiye baghair

aḳhir hain kaun log jo baḳhshe hi ja.enge

tariḳh ke haram se tauba kiye baghair

vo sunni bachcha kaun tha jis ki jafa ne ‘jaun’

shii.a bana diya hamen shii.a kiye baghair

ab tum kabhi na aaoge ya.ani kabhi kabhi

ruḳhsat karo mujhe koi va.ada kiye baghair

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Shikwon Pe Sitam Aahon Pe Jafa Sau Bar Hui Sau Bar Hua

Bojh KHwabon Ka Un Aankhon Se Bahut Dhoya Tha

Dahakti KHwahishon Mein Jal Raha Hun

Is Se Pahle Ki Zamin-Zad Shararat Kar Jaen

Hafiz Shirazi

Man Wa Inkar-e-Sharab In Che Hikayat Bashad

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet