hasrat-e-sikka-e-baḳhil na kar
apne kashkol ko zalil na kar
kuchh na bolenge mudda.i ke ḳhilaf
doston ko kabhi vakil na kar
bahs jaari rahe to behtar hai
mere da.ave ko be-dalil na kar
main farasat-gazidgi ka shikar
mujh ko farzana-o-aqil na kar
haath uncha rahe kushada rahe
jeb ko kisa-e-baḳhil na kar
koi had hai tiri zarurat ki
zindagi yuun mujhe zalil na kar
‘ramz’ qaid-e-hayat jhel abhi
itni ujlat mire ḳhalil na kar
Leave a Reply