hasrat-e-did nahin zauq-e-tamasha bhi nahin
kaash patthar hon nigahen magar aisa bhi nahin
jabr-e-dozakh nahin firdaus ka nashsha bhi nahin
khush hain aaraf men ham aur koi khatka bhi nahin
ab kisi huur men baaqi nahin ehsas-e-kashish
mere sar par kisi aaseb ka saaya bhi nahin
vo to aisa bhi hai vaisa bhi hai kaisa hai magar?
kya ghazab hai koi us shokh ke jaisa bhi nahin
jis ka haq tha ki bane sang-e-malamat ka hadaf
zahe taz.hik vo ab shahr men rusva bhi nahin
dhundh kuchh aur hi iblagh ki surat ai ‘saz’
sharh o tafsir nahin ramz o kinaya bhi nahin
Leave a Reply