zindagi ki tha alamat ik hunar be-jan sa
rah gaya tasvir koi dekh kar hairan sa
teri yaden dafn kar deti hain us ke zor ko
roz uThta to hai dil men ja-ba-ja tufan sa
raunaq-e-shahr-e-riya taḳhir honi thi hui
raste men paḌ gaya tha ik khanDar viran sa
aap a.enge to vahshat saath le kar a.enge
rasta aata hai mere ghar pe ik sunsan sa
puchhne aata nahin koi mire halat ab
main vatan men ho gaya huun apne hi anjan sa
jab safar tai kar liya tab is ka andaza hua
dekhne ko rasta to tha bahut asan sa
koi puchhe rahbar se raḳht-e-jan raḳht-e-safar
qafila jaata kahan hai be-sar-o-saman sa
kaghzi phulon pe titli koi aa.i nahin
mez par rakkha hua tha yuun to ik gul-dan sa
Leave a Reply