• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Hasr-Afrin Hai Kucha-E-Jaanana Aaj-Kal

Hasr-Afrin Hai Kucha-E-Jaanana Aaj-Kal

poet

hasr-afrin hai kucha-e-janana aj-kal

bahki hui hai ḳhu-e-muhibbana aj-kal

phir bik rahi hai jins-e-vafa kauḌiyon ke mol

phir har vafa-shi.ar hai begana aj-kal

phir uTh rahi hain dasht-o-bayaban ki raunaqen

phir har junun-frosh hai farzana aj-kal

phir shola-kar hain chamanistan-e-lala-zar

phir bijliyan hain raunaq-e-kashana aj-kal

phir har junun-sarisht ḳhirad se hai bahra-var

phir kho gaya taqaddus-e-virana aj-kal

har dil men jalva-rez hai phir jazba-e-ḳhudi

anqa hai etibar-e-mulukana aj-kal

phir miT ga.e dilon se junun-kar valvale

phir be-nava hain salma-o-rehana aj-kal

phir satgin unDel ke saaqi ne rakh diye

uThti hai har nigah harisana aj-kal

afsana ban ga.i vo raqabat vo chashmaken

dast-e-karam hai dast-e-harisana aj-kal

‘maz.har’ hadis-e-dard hai apni har ek baat

har ashk-e-gham hai ghairat-e-durdana aj-kal

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Humse Wo Jaan-E-suKHan Rabt-E-Nawa Chahti Hai

poet

Ai Jazb-E-dil Wo din To Mayassar Khuda Kare

Jab Jab Usko Yar Manana paDta Hai

akhtar-ansari-akbarabadi

Rahbar-e-Tabl-O-Nishan Aur Zara Tez Qadam

hatim-ali-mehr

Guzra Apna Pas-E-Murdan Hi Sahi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet