harim-e-naz kahan aur sar-e-niyaz kahan
kahan ka sajda kise hosh hai namaz kahan
mujhe ḳhabar hi nahin hai harim-e-naz kahan
niyaz-mand kahan aur be-niyaz kahan
paḌi hai kya use hasrat zadon men aane ki
ye meri bazm kahan aur vo mahv-e-naz kahan
ye maana husn-e-haqiqat ayaan majaz men hai
magar vo jalva hai ai chashm-e-imtiyaz kahan
ilaaj kis ka karega ye puchhta kya hai
bata.en kya tujhe hai dard charasaz kahan
kabhi to milti thi hijr-o-visal men lazzat
magar bujhi hui dil men vo soz-o-saz kahan
dua.en mangta hai shaiḳh kyuun ma.az-allah
ḳhuda ka naam le tauba ka dar hai baaz kahan
baḌe maze se guzarti hai bada-ḳhvaron ki
ba-juz sharab ḳhayal-e-shab-e-daraz kahan
mila vo be-ḳhudi-e-shauq men maza ai ‘shauq’
junun-o-ishq men baaqi hai imtiyaz kahan
Leave a Reply