harf-e-isbat ki taqlid se aghaz kiya
sub.h ka raat pe tanqid se aghaz kiya
sher-goi ke safar ka miyan naseh ham ne
apne afkar ki tajdid se aghaz kiya
jo pas-o-pesh ki sochun to laraz jaata huun
us ki tarjih ne tardid se aghaz kiya
dekhta kya hai mira shauq-e-junun main ne to
apne har din ka tiri diid se aghaz kiya
arz-e-halat ko tamhid thi lazim lekin
dil ke afsane ka takid se aghaz kiya
main marasim ki shuruat na karta lekin
shoḳhi-e-chashm ki ta.id se aghaz kiya
us ka sahra-e-jahalat men bhaTakna tai hai
jis ne na-ahlon ki taqlid se aghaz kiya
aḳhirash gham ke ḳhazane hi mayassar aa.e
jab ḳhushi milne ki ummid se aghaz kiya
‘shad’ ham sahib-e-iman hain ham ne apni
ziist ka kalma-e-tauhid se aghaz kiya
Leave a Reply