har zarra-e-ḳhaki ko kiran ham ne banaya
miTTi ko lahu de ke chaman ham ne banaya
tha husn magar ik nigah-e-nim-raza se
gesu-ba-kamar lala-shikan ham ne banaya
sad-shukr ki hai un ka tabassum bhi hamin par
kaliyon men jinhen ghuncha-dahan ham ne banaya
aghyar ko gul-pairahani ham ne ata ki
apne liye phulon ka kafan ham ne banaya
har jazba-e-azadi-e-fitrat ko hua di
har bada-e-paimana-shikan ham ne banaya
tariḳh-e-junun ye hai ki har daur-e-ḳhirad men
ik silsila-e-dar-o-rasan ham ne banaya
Darte hain ḳhamoshi se hamari mah-o-anjum
chup rah ke vo andaz-e-suḳhan ham ne banaya
Takra.e kabhi mauj se sahil pe kabhi hain
bahte hue dariya men vatan ham ne banaya
mustaqbil-e-tahzib ka naghma vahi Thahra
jo zamzama-e-gang-o-jaman ham ne banaya
ashkon se hamare hai munavvar na.i duniya
shabnam ko ziya di to karan ham ne banaya
afaq ka har jalva ‘nushur’ is men ayaan hai
mil-jul ke vo a.ina-e-fan ham ne banaya
Leave a Reply