ek ishare men badal jaata hai maiḳhane ka naam
chashm-e-saqi teri gardish se hai paimane ka naam
pahle tha mauj-e-baharan dil ke lahrane ka naam
maskan-e-barq-e-tapan hai ab to kashane ka naam
aas jis ki ibtida thi yaas jis ki intiha
ai dil-e-nakam kya ho aise afsane ka naam
rang la kar hi raha aḳhir mohabbat ka asar
aaj to un ki zaban par bhi hai divane ka naam
asman par barq gulshan men saba dariya men mauj
jis jagah dekho naya hai zulf lahrane ka naam
maut ho ya vo hon donon hain ilaj-e-dard-e-dil
va-e-qismat ek bhi leta nahin aane ka naam
zulf-e-mushkin lala-ruḳh gul-pairahan mast-e-bahar
mausam-e-gul hai tumhare baam par aane ka naam
ishq ki tasvir ka ye dusra ruḳh hai ‘vaqar’
sham.a jalti hai magar hota hai parvane ka naam
Leave a Reply