zamin phir dard ka ye sa.eban koi nahin dega
tujhe aisa kushada asman koi nahin dega
abhi zinda hain ham par ḳhatm kar le imtihan saare
hamare baad koi imtihan koi nahin dega
jo pyase ho to apne saath rakkho apne badal bhi
ye duniya hai virasat men kuaan koi nahin dega
milenge muft sholon ki qaba.en banTne vaale
magar rahne ko kaghaz ka makan koi nahin dega
ḳhud apna aks bik jaa.e asir-e-a.ina ho kar
yahan is daam par naam o nishan koi nahin dega
hamari zindagi beva dulhan bhigi hui lakḌi
jalenge chupke chupke sab dhuan koi nahin dega
Leave a Reply