ho aankh agar zinda guzarti hai na kya kya
yuun aab men bujhte hue sho.ale ki sada kya
ai tu ki yaqin hai tujhe shishe ke badan par
ehsas ki dastak par kabhi kaan dhara kya
divar tahi naqsh har ik rang se mayus
kaghaz ke liye mu-e-qalam sang bacha kya
mahfuz hamin reg-hisaron men hue the
kya varna samundar ka guzar mauj-e-hava kya
vo shaḳhs mire saa.e se rakhta hai ta.alluq
mera hi yaqin TuuT gaya us ka gaya kya
us barf ke insan ki taḳhliq miri thi
is dhuup ki nagri men mile us ka pata kya
ḳhud tiir hadon men hon abhi sach hai ye ‘manzur’
us chashm-giraftar ko manunga ḳhuda kya
Leave a Reply