masjud mera rah-numa kyuun nahin hua
tera ḳhuda bhi mera ḳhuda kyuun nahin hua
mujh ko zamir Tokta rahta hai har ghaḌi
logon ka dil bhi shisha-numa kyuun nahin hua
main be-dimagh dost banata raha sada
mujh par asar ḳhushunaton ka kyuun nahin hua
zahir-parast log mire as-pas hain
main bhi unhin ke jaisa bhala kyuun nahin hua
marte hain sab talash-e-hayat-e-davam men
tera sahifa ab-e-baqa kyuun nahin hua
basti ke saare log jise pujte rahe
mere liye vo fard ḳhuda kyuun nahin hua
phirta raha gali gali teri talash men
ma.alum tere ghar ka pata kyuun nahin hua
Leave a Reply