har taraf yaar ka tamasha hai
us ke didar ka tamasha hai
ishq aur aql men hui hai shart
jiit aur haar ka tamasha hai
khalvat-e-intizar men us ki
dar-o-divar ka tamasha hai
sina-e-dagh daagh men mere
sahn-e-gulzar ka tamasha hai
hai shikar-e-kamand-e-ishq ‘siraj’
is gale haar ka tamasha hai
Leave a Reply