har taraf hai fusun mohabbat ka
giit main bhi sunun mohabbat ka
ye jo sho.ale hain meri ankhon men
hai ye soz-e-darun mohabbat ka
tum ye kahte ho main rahun zinda
aur dukh bhi sahun mohabbat ka
sochta huun ki ab tumhare baghair
lafz kaise likhun mohabbat ka
aaj duniya ne jiit li baazi
aaj sar hai nigun mohabbat ka
Leave a Reply