ankhon ankhon men guzari shab-e-hijran ham ne
ashk rahne diye har shab pas-e-mizhgan ham ne
zindagi tujh se ibarat hai so teri ḳhatir
ziist ki rah men bichha.in sada kaliyan ham ne
saans ki lai pe dhaḌakta hai tumhen dekh ke dil
dil ko dekha hai ka.i baar hi raqsan ham ne
mundamil zaḳhm hue the na hamare dil ke
phir na.e gham ko kiya aaj hi mehman ham ne
ḳhvab ankhon men koi kaise utar kar aata
niind ka jabki liya hi nahin ehsan ham ne
raat ro.e the bahut koi bahana na bana
raat phir uThta hua dekha hai tufan ham ne
bin bula.e hi chali aa.i shab-e-gham dekho
dekha ‘dilshad’ ko phir aaj pareshan ham ne
Leave a Reply