• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Khun Se Jab Jala diya Ek diya Bujha Hua

Khun Se Jab Jala diya Ek diya Bujha Hua

pirzada-qasim

khuun se jab jala diya ek diya bujha hua

phir mujhe de diya gaya ek diya bujha hua

apne to ahad-e-shauq ke marhale sab aziiz the

ham ko visal sa laga ek diya bujha hua

ek hi dastan-e-shab ek hi silsila to hai

ek diya jala hua ek diya bujha hua

shoala hava-nazhad tha phir bhi hava ke haath ne

bas yahi faisla likha ek diya bujha hua

mahfil-e-rang-o-nur ki phir mujhe yaad aa gai

phir mujhe yaad aa gaya ek diya bujha hua

mujh ko nashat se fuzun rasm-e-vafa aziiz hai

mera rafiq-e-shab raha ek diya bujha hua

dard ki kaenat men mujh se bhi raushni rahi

vaise meri bisat kya ek diya bujha hua

sab miri raushni-e-jan harf-e-sukhan men dhal gai

aur main jaise rah gaya ek diya bujha hua

Filed Under: Ghazal Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Samundaron Mein Sarab Aur KHushkiyon Mein Girdab Dekhta Hai

akhtar-hoshiyarpuri

dard Ki daulat-e-Nayab Ko Ruswa Na Karo

abdul-hamid-adam

Jab Tere Nain Muskuraate Hain

Umr Bhar Jis Ki Mohabbat Mein Giraftar Rahi

kaifi-azmi

Bewa Ki Khud-Kushi

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet