miri bayaz ko sheron se tum saja dena
main ek vahm huun mujh ko yaqin bana dena
bana ke koi kahani hamari hasti ki
nadi men kaghzi kashti koi baha dena
bahut sambhal ke rakkha hai main ne phulon ko
jo ho sake inhen gul-dan men saja dena
chala gaya jo kabhi laut kar nahin aaya
main laut aungi mujh ko zara sada dena
andhera dhundhta rahta hai meri parchhain
jale charagh to chadar mujhe odha dena
kitaben so nahin paengi mere baad kabhi
hua tu aa ke inhen loriyan suna dena
bikhar ke rah gai zarrat-e-gham men ‘shaista’
tire qalam se nai shakl ik bana dena
Leave a Reply